Basakar dilon ko mittati hai duniya … hasakar hamesha rulati hai duniya
Yun toh duniya ne bhi teer maare bahut … yaad aayenge ehsaan tumhare bahut
Chedke dil ke tootte taaron ko, ab tum uski sadaa se darte ho … khud hi toofan uthaye hai tumne, aur khud hi hawa se darte ho
Tu jab aa jaati hai paas … bhook mar jaati hai, jaag uthti hai pyaas
Kya milega bhala rulaake mujhe … paoge kya jala jalake mujhe
Tune sab paaya hai, aashiq ki nazar paayi nahi … jabse dekha tujhko duniya ki taraf dekha nahi … jabse chaha tujhko apni yaad bhi aayi nahi … tukhjo paana zindagi hai, tujhko khona maut hai … aur kuch iske sivah mere fasaane mein nahi … maang loonga mein khuda se yah chura loonga tujhe … tujhsa moti doosra uske khazane mein nahi
Dhong shaadi ka tumne rachaya fisool … na kiya na karoongi yeh rishta kabool
Usse kehna ke tum mera ek khwab ho, joh chamakta hai dil mein woh mahatab ho … usse kehna ke gehuyon ke kheton ka rang, tilmilati hui titliyon ki umang … usse kehna ke jharnon ka chanchal shabaab, ghat ki taazgi, aabroo-e-janab … usse kehna ke jhoolon ki angdaiyan aur udhte dupatton ki shenaiyan … usse kehna ki chakki ke geeton ki aag, ladkhadati jawaani, machalta suhaag … usse kehna ke dulhanon ke kajal ki pyaas, pehle bhose ki garm aur thandi mithaas … itni ranginiyon ko jab ikhja kiya, Heer kudrat ne tab tujhko pehda kiya
Layega mere dil ki tadap, koi kahan se … sunna hai mera haal, sunno meri zabaan se
Ishq jis mein basa nahi rehta … aaise dil mein khuda nahi rehta
Zara yeh raat dhalne de, nasha tera utaroonga … jawaani bhool jaye ishq, tujhko aaise maroonga … andhere mein agar maara toh kehlaonga main buzdil … tadap le raat bhar, pehli kiran hogi teri kaatil
Tere zakhm meri tadap se harre hai … meri aankh mein tere aasoon bhare hai
Mohabbat ka tamasha ishq ki taseer dekhoge … mere seene mein dil mein Heer ki tasveer dekhoge
Haqeeqat khul gayi teri ki tu kaisa gavala hai … kamine dushmano ke gaon ka tu rehne waala hai
Meri subahon ko roshni dedo … meri shaamon ko chandni dedo … mujhko tum meri zindagi dedo
Kaunsi gutthi hai woh joh humne suljahi nahi … aaisi fariyaad aaj tak darbar mein aayi nahi
Humse na kar mastiyan, mar gayi kya teri bhabhiyan … ek do bhi nahi aath hai, tabhi toh iske yeh thaat hai
Koi ladki dabaav mein aake, darke, majboor hoke, ghabrake agar hui ho nikaah par raazi … shaadi jayaz nahi hai woh qazi
Doori kabhi palbhar ko gawara na karenge … agar jee na sake saath toh hum saath marenge
Doli se main jab utroongi hairan na hona … mar jaon khushi se toh pareshan na hona
Meri nazar ne husn ka jadoo jaga diya … tujhko sajaake aur bhi katil bana diya
Khuchal doonga, masal doonga, jala doonga, loota doonga … rulaya mujhko kismat ne … main duniya ko rula doonga
Kya khadi baatein banati hai … khuda ka khauf kar, kyun aag is ghar mein lagati hai … zara soorat toh dekh apni, tujhe Raanjha satayega … tu jis raste se guzregi, woh us raste na jayega
Chandni aanchal mein bhar layi hai tu … raat yeh chamki hai jab aayi hai tu
Jhoot ki boo tumhari baat mein hai … lao koi gawah saath mein hai?
Sharmati hai kyun aaj meri baahon mein aake … le jaonga ek din tujhe doli mein bithake
Milke tanhai ka ehsaas usne doona kar diya … dil kiya aabad kuch aaise, ki soona kar diya
Kyun matakti hai bahut … aaj tanhayi khatakti hai bahut
Laila ke aangan mein joh bhangra ho gaya … Majnu naacha aur yoon naacha ke langda ho gaya
Baarat mein halki si jhalak apni dikhake … chhoda mujhe is husn ne deewana banake … doori na hui dil ko kisi tarah gawara … chhod aaya hamesha ke liye takht hazara
Jism-e-nazuk mein jaan khuda ki hai, mooh ke andhar zubaan khuda ki hai … jab bhi bologe sach hi bologe, varna hargiz zubaan nahi khologe
Ishq se joh bacha nahi rehta … woh kisi kaam ka nahi rehta
Chand ubharta hua, bujhte huye chehre dekho … chandni chhitki hai, cha jaye andhera jaise … is tarah tootkar bhikre hai zameen par sapne … lut gaya ho kisi baraat ka dera jaise
Soochne ke waqt kahan, yeh koi aur gul khilayegi … baat jungle ki aag hoti hai, lakh rokoge phail jayegi
Tumne sar par isse chadaya tha, tumne itna kiya hai isko kharab … tumhi har baat iski sunte the, tumhi dena biradari ko jawab
Raah ke kaanton se bhi ab ishq ghabrata nahi … kya qayamat hai kahin dil ko karaar aata nahi
Shaadi ki tamanna thi kunware chale aaye … jaise gaye vaise hi bechare chale aaye
Gazab ki maang hoti hai joh dil ko maang leti hai … ek aaisi taang hoti hai joh dil ko taang deti hai
Makkhiyan behte na kyun kabar pe saudai ki … uski mashooq thi beti kisi halwai ki
Ek umeed kahi rang se lehrai hai … dil mein aayi hai toh duniya mein bahaar aayi hai
Jawaani ek din humpar bhi aayi thi … kisi se pooch le, us waqt bhi mehnat ki khai thi
Hum mein lagi hai joh thokar, tu muskurata hai … yeh waqt woh hai, ki dushman bhi raham khata hai
Kismat hai ki zinda bach gaye pyare … na jaane dakuyon ne is jagah kitne jawaan maare
Sui aur wagi lo aur pyar ke dhaage … seeyo kapde pehenke jinko jadoo jism ka jaage
Sab apni soochte hai, sabko dhyan hai apna … yahi hai rang toh poora na hoga ek sapna
Na tumko fikar, na bhai ko gham gharane ka … khayal aaya kabhi mera ghar basaane ka … diya kahin mera pehghaam, tumne cheddi baat … zara bhi ki kabhi koshish, sajje meri baraat
Jaise taise taalo isse … lula landa jahan koi mil jaaye haath peele karo, nikalo isse
Tu kya bolega deewane … hamare ghar mein pehda ho gaya tu kaise, kya jaane
Koi mujhpar taras nahi khaata, koi patthar pighal nahi paata … koi sunta nahi meri fariyaad, ek main aur saikadon jallad