Kabhi raste mein mil jao toh katrakar guzar jana … hum mein is tarah takna jaise pechana nahi tumne … hamara zikr jab aaye toh yun anjaan ban jana … ki jaise naam sunkar bhi hum mein jana nahi tumne
Meri zindagi ka har ek pal, tere husn se hai judha hua … tere honth thirke toh subah hai, teri zulf bhikre toh raat hai
Mere dil ka woh hissa … kambakht mera kab tha
Tera haath, haath mein ho agar … toh safar hi asle-hayaat hai … mere har kadam pe hai manzilein … tera pyar gar mere saath hai
Is duniya mein aadmi insaan ban jaye … toh bahut badi baat hai
Daag daaman pe nahin … dil pe liya hai maine
Meri baat ka meri humnafas, tu jawab de ki na de mujhe … teri ek chup mein joh hai chupi, woh hazaar baaton ki baat hai
Aapne kabhi apni aankhen dekhi hai? … jahan dekhti hai ek rishta kayam kar leti hai
Main zara romantic kisam ka aadmi hoon … shaadi ke baad ishq karna toh chhod diya hai … is liye biwi se romance karke kaam chala leta hoon
Zindagi chand sawaal aur kuch jawaab hi toh bankar reh jaati hai
Tum insaan ke roop mein devta ho … yah devta ke roop mein insaan
Aap sooch kuch aur rahen hain … pooch kuch aur rahen hain