Follow us on Google News

Nastik (1983) Movie Dialogues

Seedhi sachi baatein karne ke liye kaleja chahiye

Jahan sher ki hukumat chalti hai … wahan chote mote janwaro ka aana jaana mana hai

Main teri maut itni kharaab kar doonga … ki tujhe dekh kar maut ka farishta bhi kaanp uthe

Zabaan agar meethi ho toh apno ka bhi kaam ho jata hai … aur doosron ka bhi

Daulat se bistar khareeda jah sakta hai, neend nahi … aurat khareedi jah sakti hai, pyar nahi … jhoot kareeda jah sakta hai, sachchai nahi

Jeena usse kehte hai … jisse kisi doosre ko zindagi mile

Gunaah karne ke baad … aadmi chota aur gunaah ka saaya lamba hota jaata hai

Bhagwan jisse kisi kaam ke liye pehda nahi karta na … usse seth bana deta hai

Is dil ne itne dukh uthaye hai … ki sukh dokha lagta hai

Main toh us andhere ghar ka chirag hoon … jahan dil bhi jalao toh roshni nahi ho sakti

Naseeb insaan ka banta hai thokarein khane ke baad … aur rang lati hai henna patthar pe pis jaane ke baad

Yeh shehar ab jungle ban gaye hai … yahan din ko insaan aur raat ko shaitaan ghumte hai

Shankar patthar ko nahi dil ko poojhta hai … aur dil kabhi patthar ka nahi hota

Joh sher bhagwan se nahi darta … woh bhagwan ke kutto se kya darega

Bhakti se bhadkar koi shakti nahi

Aaj ki tarikh mere hi khoon se likhi jani chahiye

Main soote huye pe vaar nahi karta

Ganga tann ka paap dhoti hai … aur paschatap ke aasoon mann ka paap dhote hai

Main gadi chalata hoon, zabaan chalata hoon, haath chalata hoon … aur zaroorat padhe toh bandook bhi chala sakta hoon

Aaj ke baad tu hi nahi … uski maut bhi usse talash karegi

Mujrim ke paon hote hai … zabaan nahi

Paap ka bhoj uthaoge … toh sar jhukake jeena padega

Main aag se khelta hoon … raakh jhatak deta hoon

Main ginta nahi, cheenta hoon … ginne waale kamzor hote hai

Main maangta nahi … cheenta hoon!

RELATED ARTICLES

Latest