Mera joota hai Japani, yeh patloon Englishtani, sar pe laal topi Russi … phir bhi dil hai Hindustani
Dil ka dard aur aankhon ke aasun chupane ke liye … yeh bewakoof maskare ka bhes bade kaam ki cheez hai
Aaj gareeb bhi gareeb ko nahi pehchanta
Yeh Bambai hai mere bhai Bambai … yahan doosro ko girta dekhkar sab haste hai … magar jab khud girte hai toh hasna bhool jaate hai
Mumbai ko koi nahi khareed sakta … Mumbai sabko khareed leti hai aur apna kaam nikaalkar kisi raddi waale ki dukaan mein phek deti hai
Yeh Bambai hai mere bhai Bambai … yahan buildinge banti hai cement ki aur insaanon ke dil patthar ke
Yeh Bambai hai mere bhai Bambai … yahan sach bolkar pet bharne ka raasta dhoondne se nahi milta … aur jhoot bolkar paise banane ke raaste hai 420