Follow us on Google News

Udaan Movie Dialogues

Meri tarah hota agar khud par zara bharosa, toh kuch door tum bhi saath saath aate … rang meri aankhon ka baantte zara sa, toh kuch door tum bhi saath saath aate … nasha aasman ka joh choomta tumhe, hasratein tumhari naya janam paati … khud doosre janam mein meri udaan chhoone, kuch door tum bhi saath saath aate

Choti choti chitrayi yaadein, bichhi hui hai lamho ki lawn pe … nange pair unpar chalte chalte itni door aa gaye hai … ki ab bhool gaye hai joote kahaan utare the … edi komal thi jab aaye the, thodi si nazuk hai abhi bhi aur nazuk hi rahegi … in khatti meethi yaadon ki shararat jab tak inhe gudgudati rahe … sach bhool gaye hai joote kahan utaare the … par lagta hai ki ab unki zaroorat nahi

Joh lehron se aage nazar dekh paati, toh tum jaan lete main kya sochta hoon … woh awaaz tumko bhi joh bhed jaati, toh tum jaan lete main kya sochta hoon … zid ka tumhare joh parda sarakta, khidkiyon se aage bhi tum dekh paate … aankhon se aadaton ki joh palke hatate, toh tum jaan lete main kya sochta hoon

Har baal ki khaal ki yeh chaal bhi kha jaaye … iske haath padh jaaye toh mahiney saal bhi kha jaaye … kisi behal ka bacha haal joh haal kha jaaye … bemaut marte mann ka yeh malaal kha jaaye … Lalu ka laal kha jaaye, naxal baari ki naal kha jaaye, bachpan ka dhamaal kha jaaye, budhape ki shawl kha jaaye … haya toh chhodo behaya ki chaal bhi kha jaaye … aur agar parosa ja sake toh khayal bhi kha jaaye

RELATED ARTICLES

Latest