Follow us on Google News

Zindagi 50-50 Movie Dialogues

Zindagi zaroorto ke hisaab se guzaarni chahiye … na ki khwaisho ke hisaab se … kyunki zaroortein saala fakir ki bhi poori ho jaati … magar khwaishein badshaho ki bhi adhoori reh jaati hai

Zindagi 50 50 hoti hai … kabhi haar toh kabhi jeet hoti hai

Shaadi nahi hui toh kya hua, suhagraat toh roz manati hoon … pati nahi mila toh kya hua, crorepati toh roz milte hai

Saali zindagi hai hi fifty fifty … kisi ki kaali zindagi mein umeed ki safedi … toh kisi ki safed zindagi mein samjaute ka kaala daag

Saali dikhti hai Prem Chopra jaisi … khud ko Priyanka Chopra samajhti hai

Market ka doodh market mein hi pee lena chahiye … garma garm

Joh ladki apna jism bechti hai … uske saath uska zameer bhi bik jaata hai

Jin logon ki zindagi gaali ho na … woh bhajan nahi gaya karte

Jhoparpattiyo mein toh sirf umeedein palti hai … aur sapne … sapne toh sirf achche ghar mein hi poore hote hai

Hum mein toh lagta hai ki life ek ice cream … taste karoge toh bhi pighlegi, waste karoge toh bhi pighlegi … so taste it, don’t waste it … enjoy your life

Hum galati kare toh maafi maang lete hai … koi doosra galati kare toh insaaf maangte hai

Apun ko private property nahi banna … apun public property hi thik hai

Aaisi jagah laat marenge na … ki poori zindagi apni aurat ke paas jaane se gabrayega

RELATED ARTICLES

Latest