Singer :  Kishore Kumar
Music Director :  Anandji Virji Shah, Kalyanji Virji Shah
Writer :  Prakash Mehra
Apni To Jaise Taise
 Thodi Aise Ya Waise
 Apni To Jaise Taise
 Thodi Aise Ya Waise
 Kat Jaayegi
 Aapka Kya Hoga Janaabe-Aali
 Aapka Kya Hoga
 Apne Aage Na Peeche
 Na Koi Upar Neeche
 Apne Aage Na Peeche
 Na Koi Upar Neeche
 Ronewala
 Na Koi Ronewali Janaabe-Aali
 Aapka Kya Hoga
 Aap Bhi Meri Tarah
 Insaan Ki Aaulad Hain
 Aap Mooh Mangi Dua
 Hum Unsooni Faryaad Hain
 Aap Bhi Meri Tarah
 Insaan Ki Aaulad Hain
 Aap Mooh Mangi Dua
 Hum Unsooni Faryaad Hain
 Woh Jinhe Sara Zamana
 Samjhe Laawaris Yahan
 Aap Jaise Zaalimon Ke
 Zulm Ki Ijaat Hain
 Gaali Huzur Ki To
 Lagti Duaon Jaisi
 Gaali Huzur Ki To
 Lagti Duaon Jaisi
 Hum Dua Bhi De To Lage Hai Gaali
 Aapka Kya Hoga Janaabe-Aali
 Aapka Kya Hoga Hm
 Aapke Maathe Se Chhalke
 Jo Pasina Bhi Kahin
 Aasma Hilne Lage Aur
 Kaap Oothe Yeh Zameen
 Aapka To Yeh Pasina
 Khoon Se Bhi Keemti
 Aur Apne Khoon Ki Keemat
 Yahan Kuch Bhi Nahin
 Apna To Khoon Paani
 Jeena Marna Bemaani
 Apna To Khoon Paani
 Jeena Marna Bemaani
 Waqt Ki Har Ada Hai
 Apni Dekhi Bhali
 Aapka Kya Hoga Janaabe-Aali
 Aapka Kya Hoga
 Haan Apni To Jaise Taise
 Thodi Aise Ya Waise
 Apni To Jaise Taise
 Thodi Aise Ya Waise
 Kat Jaayegi
 Aapka Kya Hoga Janaabe-Aali
 Aapka Kya Hoga
 Apne Aage Na Peeche
 Na Koi Upar Neeche
 Apne Aage Na Peeche
 Na Koi Upar Neeche Ronewala
 Na Koi Ronewali Janaabe-Aali
 Aapka Kya Hoga.

