Aap hum mein bhool jao, hum mein koi gham nahi … jis din humne aapko bhula diya, samajh li jiyega is duniya mein hum nahi
Na jaagte hue khwab dekha karo, na chaho usse jise paa na sako … pyar kahan kisi ka poora hota hai, pyar ka pehla akshar adhoora hota hai
Khuda ne jab tujhe banaya hoga, ek suroor uske dil mein aaya hoga … socha hoga kya doonga tohfe mein tujhe, tab ja ke usne mujhe banaya hoga
Deewane hai aapke is baat se inkaar nahi, kaise kahen ki hum mein aapse pyar nahi … kuch toh kasoor hai aapki adaon ka, akele hum hi gunehgaar nahi
Unhe humse shikayat hai ki hum har kisi ko dekh kar muskurate hai … nasamajh hai woh na samajhe … ke hum mein toh har chehre mein woh hi nazar aate hai
Dil mein na sahi kadmo mein sahi, jagah toh di usne … aye Allah tera lakh shukar hai, kahin se toh shuruvat ki usne
Woh aag hi kya joh lag ke badhe nahi, woh nasha hi kya joh sarr pe chadhe nahi … nahi banta tab tak koi sachcha aashiq, jab tak ishq mein usko do chaar padhe nahi
Mohabbat ka matlab ikraar nahi hota, sirf kisi ko dekhna pyar nahi hota … yun toh milte hai roz mohabbat-e-pehgham, mohabbat hai zindagi baar baar nahi hota
Dil mila hai ishq karne ke liye, bas itna samajh li jiye … ek se karna hai yah gyarah se, woh khud hi teh kar li jiye
Joh hashr hua hai lakhon ka, apna bhi woh anjaam sahi … hum pe toh kahi ilzaam lage, tujhpar bhi koi ilzaam sahi
Uske banaye har haseen chehre se ishq karna hai … aakhir marne ke baad kal usko mooh bhi toh dikhana hai