Zindagi mein luck bhi sirf uska saath deta hai … jis mein jeetne ka jazba ho
Tum sach toh main jhoot … tum din toh main raat … tum khushnaseeb toh main badnaseebi ki misaal
Tujhe yahan laya kaun, tera luck … aur tujhe bhejega kaun, tera luck
Taambe ko joh sona bana de, pathar mein joh heera tarashe, taqdeer ko talwar bana de, maut ko joh jeena sikha de … hai kuch aaise log joh jeete hai shaan se aur aazmaate hai apni jaan se … hai jeetna inki fitrat, jab hathyaar hai inka luck
Sahi time par sahi jagah hona … sahi time par sahi baat karna … aur sahi time par sahi kaam uthana … iss hi ko luck kehte hai
Raghav blind khelta hai … saamne waale ko double aana padta hai
Mere pass paisa hai par style nahi hai … aur tere pass style hai par paisa nahi hai
Majboori ek hi baar hoti hai … agli baar nahi, kabhi nahi
Luck saala ek hi cheez ki guarantee ke saath aata hai … ki woh kabhi bhi badal sakta hai
Luck jitna ghista hai … uski dhaar utni hi tezz hoti hai
Kuch patte aaise khulte hai … joh khelne waale ko hi pack kar dete hai
Jua khelne ka mazaa tab aata hai … jab samne waale ka luck mazboot ho
Insaan jab luck ke bharose pe khelta hai, toh usse haarne ka darr rehta hai … magar joh dil se khelta hai, luck hamesha uska saath deta hai
Insaan aur luck dono ka koi bharosa nahi
Gambling mein bharosa nahi … luck chalta hai
Ek goli daali, paanch khali … sir pe taani, khopdi khaali
Dushman ka border ho ya dee hui zubaan … Hindustani sipahi peeche nahi hat
Duniya saali jalti hai … jab taqdeer chalti hai
Chaand par pahuchna ho toh sitaron par nahi ruka karte … woh toh khud girte rehte hai